



Tarbandi Rajasthan Yojana rajya sarkar ki ek mahatvapurn krishi yojana hai. Iska uddeshya kisan bhaiyo ke kheto ko aawara pashuon aur neelgay se bachana hai. Is yojana me kisan ko apne khet ke chaaro taraf taar ki fencing lagwane par 50% se 60% tak anudan diya jata hai.
Raj Kisan Sathi Portal par login karke aavedan karein. Ye yojana ab puri tarah online ho gayi hai. Offline form band hain.
| Vivaran | Jankari |
|---|---|
| Yojana ka Naam | Mukhyamantri Khet Suraksha Yojana / Tarbandi Yojana |
| Laabh | Kante ki taar ya chain link fencing par anudan |
| Anudan Rashi | Laghu Seemant: 60% ya 48000 rs tak |
| Anya Kisan: 50% ya 40000 rs tak | |
| Adhiktam Seema | 400 meter lambi tarbandi par |
| Aavedan Portal | rajkisan.rajasthan.gov.in |
| Jaruri ID | Jan Aadhar + SSO ID |
| Last Date | Budget khatam hone tak, Pehle aao pehle pao |
Sarkar 3 tar ya 4 tar wali kante ki taar aur chain link fencing par anudan deti hai.
| Kisan Ki Shreni | Anudan Pratishat | Adhiktam Rashi |
|---|---|---|
| Laghu evam Seemant Kisan | 60% | 48,000 rs |
| Anusuchit Jati/Janjati | 60% | 48,000 rs |
| Samanya Kisan | 50% | 40,000 rs |
Udharhan: Agar aapki 400 meter fencing ka kul kharch 80,000 rs aata hai, aur aap laghu kisan hain, to aapko 60% yani 48,000 rs sarkar degi. Aapko sirf 32,000 rs dene honge.
READ MORE: SSO ID Rajasthan Registration – Tarbandi form ke liye
Raj Kisan Sathi Portal par login karke aavedan karein. Pura process online hai.
Q1: Tarbandi Yojana me aavedan kaha kare?
Ans: Raj Kisan Sathi Portal par login karke aavedan karein. Website rajkisan.rajasthan.gov.in hai. Offline aavedan ab manya nahi hai.
Q2: Kya purani lagi hui tarbandi par anudan milega?
Ans: Nahi. Karya aadesh milne se pehle lagi hui tarbandi par anudan nahi milega. Pehle aavedan karein, anumati lein, fir kaam karayein.
Q3: Jan Aadhar nahi hai to kya karein?
Ans: Tarbandi yojana ka labh lene ke liye Jan Aadhar anivarya hai. Pehle Jan Aadhar Card banwayein, fir aavedan karein.
Q4: Samuh me aavedan kaise karein?
Ans: 10 kisan milkar samuh bana sakte hain. Samuh ka ek mukhiya SSO ID se login karke sabka aavedan kar dega. Isme 10 hectare tak ki seema hai.
Q5: Tarbandi ke liye loan mil sakta hai?
Ans: Haan. Anudan ke baad bache hue paise ke liye aap Kisan Credit Card Yojana se loan le sakte hain.
READ MORE: Kisan Credit Card Yojana – Tarbandi ke liye loan
Tarbandi Yojana kisan ki fasal ki suraksha ke liye sabse jaruri yojana hai. 50% paisa sarkar de rahi hai. Is mauke ka labh uthayein.